apne darun-e-jism se bad-KHu nikaliye
apne darūn-e-jism se bad-ḳhū nikāliye
ik devtā ke ruup meñ sādhū nikāliye
jo tīrgī ke ḳhauf se ḳhāmosh ho ga.ī
us raat ke liye ka.ī jugnū nikāliye
iblīs guzre daur kā zinda hai aaj bhī
us kī qazā ke vāste chāqū nikāliye
koī maza nahīñ hai siyāsat meñ āj-kal
dair-o-haram se koī to jaadū nikāliye
uḌte nahīñ haiñ baaz ke bachche muñDer par
chhūnā hai āsmān to baazū nikāliye
mahsūs ho mujhe tire ehsās kī mahak
kāġhaz ke phuul se koī ḳhushbū nikāliye
pahle to kījiye kisī dāman kā intizām
phir us ke baa'd aañkh se aañsū nikāliye
matlab kī baat thī zarā ham bhī to jaan leñ
do-chār us kī baat ke pahlū nikāliye
apne darun-e-jism se bad-KHu nikaliye
ek dewta ke rup mein sadhu nikaliye
jo tirgi ke KHauf se KHamosh ho gai
us raat ke liye kai jugnu nikaliye
iblis guzre daur ka zinda hai aaj bhi
us ki qaza ke waste chaqu nikaliye
koi maza nahin hai siyasat mein aaj-kal
dair-o-haram se koi to jadu nikaliye
uDte nahin hain baz ke bachche munDer par
chhuna hai aasman to bazu nikaliye
mahsus ho mujhe tere ehsas ki mahak
kaghaz ke phul se koi KHushbu nikaliye
pahle to kijiye kisi daman ka intizam
phir us ke ba'd aankh se aansu nikaliye
matlab ki baat thi zara hum bhi to jaan len
do-chaar us ki baat ke pahlu nikaliye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.