apne dil ki aadat hai shahzadon wali
apne dil kī aadat hai shahzādoñ vaalī
jaltī rakhtā hai qindīl murādoñ vaalī
vīrāne par bin barsā ik bādal huuñ maiñ
bojhal āñkheñ aur sūrat nā-shādoñ vaalī
pañkh hilā kar shaam ga.ī hai is āñgan se
ab utregī raat anokhī yādoñ vaalī
dil ke taaq meñ rozāna hī sajātā huuñ maiñ
ik din dekhī mūrat surḳh libādoñ vaalī
ab tak merī āñkhoñ meñ gulzār khilā hai
dekhī thī vo saa.at nek irādoñ vaalī
kyuuñ na rahe is dil meñ us kī kirchī
ik tamsīl jo dekhī thī fariyādoñ vaalī
apne dil ki aadat hai shahzadon wali
jalti rakhta hai qindil muradon wali
virane par bin barsa ek baadal hun main
bojhal aankhen aur surat na-shadon wali
pankh hila kar sham gai hai is aangan se
ab utregi raat anokhi yaadon wali
dil ke taq mein rozana hi sajata hun main
ek din dekhi murat surKH libaadon wali
ab tak meri aankhon mein gulzar khila hai
dekhi thi wo saat nek iradon wali
kyun na rahe is dil mein us ki kirchi
ek tamsil jo dekhi thi fariyaadon wali
- Book : Prinda Safar men (Pg. 57)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.