apne dil ki khoj mein kho gae kya kya log
apne dil kī khoj meñ kho ga.e kyā kyā log
aañsū taptī ret meñ bo ga.e kyā kyā log
kirnoñ ke tūfān se bajre bhar bhar kar
raushniyāñ us ghaaT par Dho ga.e kyā kyā log
sāñjh-samay is kunj meñ zindagiyoñ kī oT
baj ga.ī kyā kyā bāñsurī ro ga.e kyā kyā log
mailī chādar taan kar is chaukhaT ke duvār
sadiyoñ ke kohrām meñ so ga.e kyā kyā log
gaThḌī kaal rain kī soñTī se laTkā.e
apnī dhun meñ dhyān-nagar ko ga.e kyā kyā log
mīThe mīThe bol meñ dohe kā hinDol
sun sun us ko bāñvare ho ga.e kyā kyā log
apne dil ki khoj mein kho gae kya kya log
aansu tapti ret mein bo gae kya kya log
kirnon ke tufan se bajre bhar bhar kar
raushniyan us ghaT par Dho gae kya kya log
sanjh-samay is kunj mein zindagiyon ki oT
baj gai kya kya bansuri ro gae kya kya log
maili chadar tan kar is chaukhaT ke duwar
sadiyon ke kohram mein so gae kya kya log
gaThDi kal rain ki sonTi se laTkae
apni dhun mein dhyan-nagar ko gae kya kya log
miThe miThe bol mein dohe ka hinDol
sun sun us ko banware ho gae kya kya log
- Book : Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 350)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.