Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne gharib dil ki baat karte hain raegan kahan

Iram Lakhnavi

apne gharib dil ki baat karte hain raegan kahan

Iram Lakhnavi

MORE BYIram Lakhnavi

    apne ġharīb dil baat karte haiñ rā.egāñ kahāñ

    ye bhī na ham samajh sake apnā koī yahāñ kahāñ

    un ke liye vo āsmān merā guzar vahāñ kahāñ

    mere liye yahī zamīn ā.eñge vo yahāñ kahāñ

    sāmnā un jab huā āñkhoñ ne jo kahā kahā

    dil meñ hazār ishtiyāq un meñ magar zabāñ kahāñ

    uf ye ma.āl-e-justajū ba.ad-e-kamāl-e-justajū

    pahuñche vahī jagah kahne lagī yahāñ kahāñ

    hadd-e-nazar hai fareb qurb-e-zamīn-o-āsmāñ

    varna mirī zamīn se miltā hai āsmāñ kahāñ

    husn pāsbān ishq ishq pāsbān dil

    dil hai pāsbān hosh hosh pāsbāñ kahāñ

    manzil-e-āshiqī se kam rukne nahīñ 'iram'

    ye to abhī hai rah-guzar baiTh ga.e yahāñ kahāñ

    apne gharib dil ki baat karte hain raegan kahan

    ye bhi na hum samajh sake apna koi yahan kahan

    un ke liye wo aasman mera guzar wahan kahan

    mere liye yahi zamin aaenge wo yahan kahan

    samna un ka jab hua aankhon ne jo kaha kaha

    dil mein hazar ishtiyaq un mein magar zaban kahan

    uf ye maal-e-justaju baad-e-kamal-e-justaju

    pahunche wahi jagah kahne lagi yahan kahan

    hadd-e-nazar ka hai fareb qurb-e-zamin-o-asman

    warna meri zamin se milta hai aasman kahan

    husn ka pasban ishq ishq ka pasban dil

    dil ka hai pasban hosh hosh ka pasban kahan

    manzil-e-ashiqi se kam rukne ki ja nahin 'iram'

    ye to abhi hai rah-guzar baiTh gae yahan kahan

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Iqbal Bano

    Iqbal Bano

    Iram Lakhnavi

    Iram Lakhnavi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now