apne ghar ka pata nahin milta
apne ghar kā pata nahīñ miltā
varna duniyā meñ kyā nahīñ miltā
jī meñ Thānī hai dil lagāne kī
par koī rāsta nahīñ miltā
ham se chhoTā kahāñ zamāne meñ
tum se koī baḌā nahīñ miltā
shahr hai aur itnā sannāTā
koī darvāza vā nahīñ miltā
terī bastī ajiib bastī hai
peḌ par ghoñsla nahīñ miltā
be-ḳhatar hai safar suno jab tak
raah meñ rahnumā nahīñ miltā
'raaj landan meñ ho gayā lekin
husn punjab kā nahīñ miltā
apne ghar ka pata nahin milta
warna duniya mein kya nahin milta
ji mein Thani hai dil lagane ki
par koi rasta nahin milta
hum se chhoTa kahan zamane mein
tum se koi baDa nahin milta
shahr hai aur itna sannaTa
koi darwaza wa nahin milta
teri basti ajib basti hai
peD par ghonsla nahin milta
be-KHatar hai safar suno jab tak
rah mein rahnuma nahin milta
'raj landan mein ho gaya lekin
husn punjab ka nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.