apne ghar mein qayam kar jao
apne ghar meñ qayām kar jaao
chand lamhe kalām kar jaao
dil jo uḌtā hai har ghaḌī us ko
aa ke pāband-e-dām kar jaao
apnī āñkhoñ ko tum jhukā ke sanam
mai-kashoñ ko salām kar jaao
pyaar kī baat jo adhūrī thī
us ko aa ke tamām kar jaao
zindagī jis ke chāhe naam karo
mujh se mansūb naam kar jaao
kaise māneñ ki lākhoñ marte haiñ
ham se kāfir ko raam kar jaao
apne ghar mein qayam kar jao
chand lamhe kalam kar jao
dil jo uDta hai har ghaDi us ko
aa ke paband-e-dam kar jao
apni aankhon ko tum jhuka ke sanam
mai-kashon ko salam kar jao
pyar ki baat jo adhuri thi
us ko aa ke tamam kar jao
zindagi jis ke chahe nam karo
mujh se mansub nam kar jao
kaise manen ki lakhon marte hain
hum se kafir ko ram kar jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.