apne ghar se uske ghar ka fasla tha muKHtasar
apne ghar se us ke ghar kā fāsla thā muḳhtasar
zindagī darkār thī go rāsta thā muḳhtasar
zindagī kā zindagī se rābta thā muḳhtasar
us ne dekhā maiñ ne dekhā vāqi'a thā muḳhtasar
aap bhī apne kiye par kuchh pashemāñ se lage
maiñ bhī ye sochā kiyā ik hādisa thā muḳhtasar
aisī rāteñ aaj bhī āñkhoñ meñ kaTtī haiñ mirī
zindagī kā jin se shāyad vāsta thā muḳhtasar
mere maazī kā ta'alluq mere mustaqbil ke saath
ik haqīqat thī magar ik fāsla thā muḳhtasar
ik haqīqat thā magar huuñ aaj be-tā’bīr ḳhvāb
ab kahānī huuñ kabhī ik vāqi'a thā muḳhtasar
aaj un āñkhoñ ne mere dil meñ phir jhāñkā 'atīq'
aaj un āñkhoñ meñ phir ik hausla thā muḳhtasar
apne ghar se us ke ghar ka fasla tha muKHtasar
zindagi darkar thi go rasta tha muKHtasar
zindagi ka zindagi se rabta tha muKHtasar
us ne dekha main ne dekha waqi'a tha muKHtasar
aap bhi apne kiye par kuchh pasheman se lage
main bhi ye socha kiya ek hadisa tha muKHtasar
aisi raaten aaj bhi aankhon mein kaTti hain meri
zindagi ka jin se shayad wasta tha muKHtasar
mere mazi ka ta'alluq mere mustaqbil ke sath
ek haqiqat thi magar ek fasla tha muKHtasar
ek haqiqat tha magar hun aaj be-ta’bir KHwab
ab kahani hun kabhi ek waqi'a tha muKHtasar
aaj un aankhon ne mere dil mein phir jhanka 'atiq'
aaj un aankhon mein phir ek hausla tha muKHtasar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.