apne haalat ke dhagon se buni hai maine
apne hālāt ke dhāgoñ se bunī hai maiñ ne
aaj ik taaza ġhazal aur kahī hai maiñ ne
kis zarūrat ko dabā.ūñ kise puurā kar luuñ
apnī tanḳhvāh ka.ī baar ginī hai maiñ ne
chhoTe logoñ ko baḌā kahnā paḌā hai aksar
ek taklīf ka.ī baar sahī hai maiñ ne
zindagī ne mujhe siine se lagā rakkhā hai
jaan jis din se hathelī pe dharī hai maiñ ne
maiñ to jaisā bhī huuñ sab log mujhe jānte haiñ
tere baare meñ bhī ik baat sunī hai maiñ ne
apne 'aiboñ ko 'ayāñ kar ke ḳhajil huuñ lekin
ye jasārat bhī agar kī hai to kī hai maiñ ne
mere she'roñ meñ dhaḌaktā hai mire 'ahd kā dil
shā'irī kī hai ki tārīḳh likhī hai maiñ ne
ek se dūsrā insān judā hai 'nusrat'
har jabīñ pe na.ī tahrīr paḌhī hai maiñ ne
apne haalat ke dhagon se buni hai main ne
aaj ek taza ghazal aur kahi hai main ne
kis zarurat ko dabaun kise pura kar lun
apni tanKHwah kai bar gini hai main ne
chhoTe logon ko baDa kahna paDa hai aksar
ek taklif kai bar sahi hai main ne
zindagi ne mujhe sine se laga rakkha hai
jaan jis din se hatheli pe dhari hai main ne
main to jaisa bhi hun sab log mujhe jaante hain
tere bare mein bhi ek baat suni hai main ne
apne 'aibon ko 'ayan kar ke KHajil hun lekin
ye jasarat bhi agar ki hai to ki hai main ne
mere she'ron mein dhaDakta hai mere 'ahd ka dil
sha'iri ki hai ki tariKH likhi hai main ne
ek se dusra insan juda hai 'nusrat'
har jabin pe nai tahrir paDhi hai main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.