apne haalat mein badlaw nahin chahta main
apne hālāt meñ badlāv nahīñ chāhtā maiñ
ab kisī se koī Takrāv nahīñ chāhtā maiñ
der tak rakhtī hai be-sudh mujhe soñdhī ḳhushbū
dil tirī miTTī pe chhiḌkāv nahīñ chāhtā maiñ
pahlī bārish meñ hī ho jaa.e badan sabz mirā
rafta-rafta koī badlāv nahīñ chāhtā maiñ
ghar ke har kamre ko sāmān se bhar Daalā hai
apnī āvāz kā dohrāv nahīñ chāhtā maiñ
is qadar kyoñ hai bharosa mujhe in lahroñ par
kyoñ koī tinkā koī naav nahīñ chāhtā maiñ
ḳhud vo zaḳhmoñ ko sile yā mujhe mar jaane de
aur is shart meñ badlāv nahīñ chāhtā maiñ
apne haalat mein badlaw nahin chahta main
ab kisi se koi Takraw nahin chahta main
der tak rakhti hai be-sudh mujhe sondhi KHushbu
dil teri miTTi pe chhiDkaw nahin chahta main
pahli barish mein hi ho jae badan sabz mera
rafta-rafta koi badlaw nahin chahta main
ghar ke har kamre ko saman se bhar Dala hai
apni aawaz ka dohraw nahin chahta main
is qadar kyon hai bharosa mujhe in lahron par
kyon koi tinka koi naw nahin chahta main
KHud wo zaKHmon ko sile ya mujhe mar jaane de
aur is shart mein badlaw nahin chahta main
- Book : Ham Zameen Par Aasmaan Ke Phool Hain (Pg. 39)
- Author : Vikas Sharma Raaz
- Publication : Rekhta Publications (2025)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.