apne hi aap mein asir hun main
apne hī aap meñ asiir huuñ maiñ
apne zindāñ meñ be-nazīr huuñ maiñ
ek shahr-e-ḳhayāl hai merā
apne is shahr kā amiir huuñ maiñ
baḌhtā jaatā hai zindagī kā ḳhat
ek ghaTtī huī lakīr huuñ maiñ
kyuuñ bulāte ho ab jahāñ vaalo
ek gosha-nashīñ faqīr huuñ maiñ
qarz is dil pe ulfatoñ ke haiñ
dostoñ kā karam amiir huuñ maiñ
khich ke yuuñ hī kamān meñ huuñ qaid
chhūT jā.ūñ to ek tiir huuñ maiñ
maiñ ne dekhī hai vaqt kī karvaT
mujh ko dekho ki ik basīr huuñ maiñ
apne hi aap mein asir hun main
apne zindan mein be-nazir hun main
ek shahr-e-KHayal hai mera
apne is shahr ka amir hun main
baDhta jata hai zindagi ka KHat
ek ghaTti hui lakir hun main
kyun bulate ho ab jahan walo
ek gosha-nashin faqir hun main
qarz is dil pe ulfaton ke hain
doston ka karam amir hun main
khich ke yun hi kaman mein hun qaid
chhuT jaun to ek tir hun main
main ne dekhi hai waqt ki karwaT
mujh ko dekho ki ek basir hun main
- Book : Khama-e-Mani (Pg. 48)
- Author : Sulaiman Ahmad Mani
- Publication : Noor Printing Agency Suiwalan (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.