apne hisse ki zamin bhi chahiye
apne hisse kī zamīñ bhī chāhiye
dil makāñ ko ik makīñ bhī chāhiye
laḌke vāloñ kī talab to dekhiye
laḌkī afsar bhī hasīñ bhī chāhiye
us kī bāteñ yaad karte haiñ chalo
shām-e-ġham kuchh dil-nashīñ bhī chāhiye
us kī har dam haañ ghamanDī kar ga.ī
us ke muñh se ik nahīñ bhī chāhiye
dam kirā.e ke makānoñ meñ ghuTe
ghar ho kaisā bhī kahīñ bhī chāhiye
ham na hoñ to tum bhī be-ma.anī raho
āstāne ko jabīñ bhī chāhiye
sher to kuchh 'tāhira' ne kah diye
lekin us ko āfrīñ bhī chāhiye
apne hisse ki zamin bhi chahiye
dil makan ko ek makin bhi chahiye
laDke walon ki talab to dekhiye
laDki afsar bhi hasin bhi chahiye
us ki baaten yaad karte hain chalo
sham-e-gham kuchh dil-nashin bhi chahiye
us ki har dam han ghamanDi kar gai
us ke munh se ek nahin bhi chahiye
dam kirae ke makanon mein ghuTe
ghar ho kaisa bhi kahin bhi chahiye
hum na hon to tum bhi be-mani raho
aastane ko jabin bhi chahiye
sher to kuchh 'tahira' ne kah diye
lekin us ko aafrin bhi chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.