apne hone key jhalak deta hai
apne hone key jhalak detā hai
fan kahīñ bhī ho chamak detā hai
phuul us ko bhī mahak detā hai
haath jo us ko jhaTak detā hai
ġhair tinkā bhī uchak detā hai
apnā to apne key Dhak detā hai
aap añdheroñ kā gila karte haiñ
chāñd taare bhī falak detā hai
pahle jī bhar ke jalātā hai mujhe
aur phir bād-e-ḳhunuk detā hai
jo shajar chāhtā hai phuul aur phal
apnī shāḳhoñ ko lachak detā hai
ab bhī sharmātā hai sājan merā
ab bhī āñkhoñ ko jhapak detā hai
zaḳhm to pahle bhī detā thā vo
āj-kal saath namak detā hai
niiñd vo bhī to hasīñ hai 'ulfat'
jab zarā baap thapak detā hai
apne hone key jhalak deta hai
fan kahin bhi ho chamak deta hai
phul us ko bhi mahak deta hai
hath jo us ko jhaTak deta hai
ghair tinka bhi uchak deta hai
apna to apne key Dhak deta hai
aap andheron ka gila karte hain
chand tare bhi falak deta hai
pahle ji bhar ke jalata hai mujhe
aur phir baad-e-KHunuk deta hai
jo shajar chahta hai phul aur phal
apni shaKHon ko lachak deta hai
ab bhi sharmata hai sajan mera
ab bhi aankhon ko jhapak deta hai
zaKHm to pahle bhi deta tha wo
aaj-kal sath namak deta hai
nind wo bhi to hasin hai 'ulfat'
jab zara bap thapak deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.