apne honTon pe jo dua rakhta
apne hoñToñ pe jo du'ā rakhtā
phir kisī se na vo gila rakhtā
sirf kaasa liye phirā har dam
maiñ to saa.il thā aur kyā rakhtā
māñgte to sabhī haiñ duniyā meñ
kis ko denā hai vo pata rakhtā
rog aisā hai 'ishq kā yaaro
kab kisī ko vo kaam kā rakhtā
faisle kā pata thā pahle se
maiñ bhī apnī dalīl kyā rakhtā
sab ko detā ḳhushī vo duniyā meñ
sab kā ūñchā vo martaba rakhtā
apne honTon pe jo du'a rakhta
phir kisi se na wo gila rakhta
sirf kasa liye phira har dam
main to sail tha aur kya rakhta
mangte to sabhi hain duniya mein
kis ko dena hai wo pata rakhta
rog aisa hai 'ishq ka yaro
kab kisi ko wo kaam ka rakhta
faisle ka pata tha pahle se
main bhi apni dalil kya rakhta
sab ko deta KHushi wo duniya mein
sab ka uncha wo martaba rakhta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.