Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne is shauq ka izhaar karen bhi ki nahin

Navin Joshi

apne is shauq ka izhaar karen bhi ki nahin

Navin Joshi

MORE BYNavin Joshi

    apne is shauq iz.hār kareñ bhī ki nahīñ

    pyaar vaise bhī hai dushvār kareñ bhī ki nahīñ

    kyā zarūrī hai ye iqrār muhtāj rahe

    ham mohabbat ko yuuñ lāchār kareñ bhī ki nahīñ

    ho ga.iiñ ishq nīlām dukāneñ kitnī

    ye ḳhasāre hai bevpār kareñ bhī ki nahīñ

    kahte haiñ is se mohabbat maza baḌhtā hai

    karnī hai chhoTī takrār kareñ bhī ki nahīñ

    hai ḳhabar aaj to qātil haiñ adā.eñ un

    jaan le saktā hai dīdār kareñ bhī ki nahīñ

    Dagmagā jā.egī jo dekh le un āñkhoñ meñ

    apnī niyyat ko yuuñ sarshār kareñ bhī ki nahīñ

    ishq hai vo hasīñ ġhalatī ki 'navā' pūchhte haiñ

    ik dafa ho ga.ī har baar kareñ bhī ki nahīñ

    apne is shauq ka izhaar karen bhi ki nahin

    pyar waise bhi hai dushwar karen bhi ki nahin

    kya zaruri hai ye iqrar ki muhtaj rahe

    hum mohabbat ko yun lachaar karen bhi ki nahin

    ho gain ishq ki nilam dukanen kitni

    ye KHasare ka hai bewpar karen bhi ki nahin

    kahte hain is se mohabbat ka maza baDhta hai

    karni hai chhoTi si takrar karen bhi ki nahin

    hai KHabar aaj to qatil hain adaen un ki

    jaan le sakta hai didar karen bhi ki nahin

    Dagmaga jaegi jo dekh le un aankhon mein

    apni niyyat ko yun sarshaar karen bhi ki nahin

    ishq hai wo hasin ghalati ki 'nawa' puchhte hain

    ek dafa ho gai har bar karen bhi ki nahin

    Source :
    • Book : Word File Mail By Salim Saleem
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now