Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne khoe hue lamhat ko paya tha kabhi

Mazhar Imam

apne khoe hue lamhat ko paya tha kabhi

Mazhar Imam

Interesting Fact

Second sher was recited in a Hindi suspense thriller 'Gumnaam' based on Agatha Christie's novel 'And Then There Were None'.

apne kho.e hue lamhāt ko paayā thā kabhī

maiñ ne kuchh vaqt tire saath guzārā thā kabhī

aap ko mere ta.āruf zarūrat kyā hai

maiñ vahī huuñ ki jise aap ne chāhā thā kabhī

ab agar ashk umañDte haiñ to jaatā huuñ

hausla aap ke dāman ne baḌhāyā thā kabhī

ab usī giit lai soch rahī hai duniyā

maiñ ne jo giit tirī bazm meñ gaayā thā kabhī

merī ulfat ne kiyā ġhair ko maa.il varna

maiñ tirī anjuman-e-nāz meñ tanhā thā kabhī

kar diyā aap qurbat ne bahut duur mujhe

aap se buad ehsās na itnā thā kabhī

dost nādāñ ho to dushman se burā hotā hai

mujh ko apne dil-e-nādāñ pe bharosā thā kabhī

apne khoe hue lamhat ko paya tha kabhi

main ne kuchh waqt tere sath guzara tha kabhi

aap ko mere taaruf ki zarurat kya hai

main wahi hun ki jise aap ne chaha tha kabhi

ab agar ashk umanDte hain to pi jata hun

hausla aap ke daman ne baDhaya tha kabhi

ab usi git ki lai soch rahi hai duniya

main ne jo git teri bazm mein gaya tha kabhi

meri ulfat ne kiya ghair ko mail warna

main teri anjuman-e-naz mein tanha tha kabhi

kar diya aap ki qurbat ne bahut dur mujhe

aap se buad ka ehsas na itna tha kabhi

dost nadan ho to dushman se bura hota hai

mujh ko apne dil-e-nadan pe bharosa tha kabhi

Source :
  • Book : paalkii kahkashaa.n (Pg. 207)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now