apne KHwabon ke mai-kade mein hun
apne ḳhvāboñ ke mai-kade meñ huuñ
riñd huuñ maiñ zarā nashe meñ huuñ
maut hī merī āḳhirī manzil
maiñ janam se hī qāfile meñ huuñ
jab uḌūñgā falak bhī chūmūñgā
maiñ abhī tak to ghoñsle meñ huuñ
zindagī-bhar rahegā saath un kā
ḳhūbsūrat muġhālate meñ huuñ
muskurātā huuñ ab ġhamoñ meñ bhī
dosto maiñ bahut maze meñ huuñ
haq-parastī hai merā naam 'dinesh'
āj-kal sirf aa.ine meñ huuñ
apne KHwabon ke mai-kade mein hun
rind hun main zara nashe mein hun
maut hi meri aaKHiri manzil
main janam se hi qafile mein hun
jab uDunga falak bhi chumunga
main abhi tak to ghonsle mein hun
zindagi-bhar rahega sath un ka
KHubsurat mughaalate mein hun
muskuraata hun ab ghamon mein bhi
dosto main bahut maze mein hun
haq-parasti hai mera nam 'dinesh'
aaj-kal sirf aaine mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.