apne ko talash kar raha hun
apne ko talāsh kar rahā huuñ
apnī hī talab se Dar rahā huuñ
tum log ho āñdhiyoñ kī zad meñ
maiñ qaht-e-havā se mar rahā huuñ
ḳhud apne hī qalb-e-ḳhūñ-chakāñ meñ
ḳhanjar kī tarah utar rahā huuñ
ai shahr-e-ḳhayāl ke musāfir
kyā maiñ tirā ham-safar rahā huuñ
dīvār pe dā.ere haiñ kaise
ye kaun hai kis se Dar rahā huuñ
maiñ shabnam-e-chashm-e-tar se ai sub.h
kal raat bhī tar-ba-tar rahā huuñ
ik shaḳhs se talḳh-kām ho kar
har shaḳhs ko pyaar kar rahā huuñ
ai dajla-e-ḳhūñ zarā Thaharnā
is raah se maiñ guzar rahā huuñ
fariyād ki zer-e-sāya-e-gul
maiñ zahr-e-ḳhizāñ se mar rahā huuñ
apne ko talash kar raha hun
apni hi talab se Dar raha hun
tum log ho aandhiyon ki zad mein
main qaht-e-hawa se mar raha hun
KHud apne hi qalb-e-KHun-chakan mein
KHanjar ki tarah utar raha hun
ai shahr-e-KHayal ke musafir
kya main tera ham-safar raha hun
diwar pe daere hain kaise
ye kaun hai kis se Dar raha hun
main shabnam-e-chashm-e-tar se ai subh
kal raat bhi tar-ba-tar raha hun
ek shaKHs se talKH-kaam ho kar
har shaKHs ko pyar kar raha hun
ai dajla-e-KHun zara Thaharna
is rah se main guzar raha hun
fariyaad ki zer-e-saya-e-gul
main zahr-e-KHizan se mar raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.