apne mazi se jo wirse mein mile hain hum ko
apne maazī se jo virse meñ mile haiñ ham ko
un usūloñ kī tijārat nahīñ hogī ham se
ahd-e-hāzir kī har ik baat hameñ dil se qubūl
sirf tauhīn-e-rivāyat nahīñ hogī ham se
jhuuT bhī boleñ sadāqat ke payambar bhī baneñ
ham ko baḳhsho ye siyāsat nahīñ hogī ham se
zaḳhm bhī khā.eñ raqīboñ ko duā.eñ bhī deñ
itnī maḳhdūsh sharāfat nahīñ hogī ham se
surḳh patthar ke sanam hoñ ki vo patthar ke sanam
but-kadoñ meñ to ibādat nahīñ hogī ham se
hai itā.at ke liye apnā faqat ek ḳhudā
na ḳhudāoñ kī itā.at nahīñ hogī ham se
ġhair-mashrūt rifāqat ke taraf-dār haiñ ham
shart ke saath rifāqat nahīñ hogī ham se
fikr-o-iz.hār meñ ham hukm ke pāband nahīñ
shā.irī hasb-e-hidāyāt nahīñ hogī ham se
sirf bāteñ hī agar aap gavāra kar leñ
aap ko koī shikāyat nahīñ hogī ham se
apne mazi se jo wirse mein mile hain hum ko
un usulon ki tijarat nahin hogi hum se
ahd-e-hazir ki har ek baat hamein dil se qubul
sirf tauhin-e-riwayat nahin hogi hum se
jhuT bhi bolen sadaqat ke payambar bhi banen
hum ko baKHsho ye siyasat nahin hogi hum se
zaKHm bhi khaen raqibon ko duaen bhi den
itni maKHdush sharafat nahin hogi hum se
surKH patthar ke sanam hon ki wo patthar ke sanam
but-kadon mein to ibaadat nahin hogi hum se
hai itaat ke liye apna faqat ek KHuda
na KHudaon ki itaat nahin hogi hum se
ghair-mashrut rifaqat ke taraf-dar hain hum
shart ke sath rifaqat nahin hogi hum se
fikr-o-izhaar mein hum hukm ke paband nahin
shairi hasb-e-hidayat nahin hogi hum se
sirf baaten hi agar aap gawara kar len
aap ko koi shikayat nahin hogi hum se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.