apne muhafizon se hirasan hai zindagi
apne muhāfizoñ se hirāsāñ hai zindagī
is zindagī ke haal pe hairāñ hai zindagī
yuuñ rūnumā hue mire hālāt meñ tazād
gulshan kabhī thī aaj bayābāñ hai zindagī
us shaḳhs kā bhī aaj muqaddar sañvar gayā
likkhā thā jis ke dar pe pareshāñ hai zindagī
ghar baiThne se mil na sakegā koī surāġh
'azm-o-'amal kī raah meñ pinhāñ hai zindagī
kyoñ zindagī kī mujh ko duā de rahe haiñ aap
mere liye to maut kā sāmāñ hai zindagī
do-chār din meñ ġham se milegī hameñ najāt
do-chār din kī aur ye mehmāñ hai zindagī
'e'jāz' koī pūchhne vaalā nahīñ yahāñ
urdu kī tarah be-sar-o-sāmāñ hai zindagī
apne muhafizon se hirasan hai zindagi
is zindagi ke haal pe hairan hai zindagi
yun runuma hue mere haalat mein tazad
gulshan kabhi thi aaj bayaban hai zindagi
us shaKHs ka bhi aaj muqaddar sanwar gaya
likkha tha jis ke dar pe pareshan hai zindagi
ghar baiThne se mil na sakega koi suragh
'azm-o-'amal ki rah mein pinhan hai zindagi
kyon zindagi ki mujh ko dua de rahe hain aap
mere liye to maut ka saman hai zindagi
do-chaar din mein gham se milegi hamein najat
do-chaar din ki aur ye mehman hai zindagi
'e'jaz' koi puchhne wala nahin yahan
urdu ki tarah be-sar-o-saman hai zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.