apne naa.ī kā hunar yaad aayā
ham ne mu۔nDvāyā thā sar yaad aayā
rail meñ le rahī thī ḳharrāTe
us ke hamrāh safar yaad aayā
jis ko khā ke hue the ham bīmār
vo hī bhejā vo jigar yaad aayā
raat kanyā gale lagā.ī thī
sub.h daarū kā asar yaad aayā
prem ke vaqt ġhussa biivī kā
bhūlnā chāhā magar yaad aayā
jab fasādoñ kī koī aa.ī ḳhabar
apnā jaltā huā ghar yaad aayā
'rāz' ne kī jo fikr 'ġhālib' kī
us ke sheroñ kā asar yaad aayā
apne nai ka hunar yaad aaya
hum ne mu۔nDwaya tha sar yaad aaya
rail mein le rahi thi KHarraTe
us ke hamrah safar yaad aaya
jis ko kha ke hue the hum bimar
wo hi bheja wo jigar yaad aaya
raat kanya gale lagai thi
subh daru ka asar yaad aaya
prem ke waqt ghussa biwi ka
bhulna chaha magar yaad aaya
jab fasadon ki koi aai KHabar
apna jalta hua ghar yaad aaya
'raaz' ne ki jo fikr 'ghaalib' ki
us ke sheron ka asar yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.