apne naKHre sambhaal chalta ban
apne naḳhre sambhāl chaltā ban
tujh meñ kyā hai kamāl chaltā ban
rū-ba-rū tere rakh diyā maiñ ne
har javāb-o-savāl chaltā ban
phone kartā hai roz jis ko tū
rakh usī kā ḳhayāl chaltā ban
kañkarī bhī pahāḌ jaisī hai
apne patthar sambhāl chaltā ban
faanī duniyā meñ ham bashar jaise
aur tū be-misāl chaltā ban
tū 'humā' ko jo saḳht-sust kahe
terī itnī majāl chaltā ban
apne naKHre sambhaal chalta ban
tujh mein kya hai kamal chalta ban
ru-ba-ru tere rakh diya main ne
har jawab-o-sawal chalta ban
phone karta hai roz jis ko tu
rakh usi ka KHayal chalta ban
kankari bhi pahaD jaisi hai
apne patthar sambhaal chalta ban
fani duniya mein hum bashar jaise
aur tu be-misal chalta ban
tu 'huma' ko jo saKHt-sust kahe
teri itni majal chalta ban
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.