apne pindar ko khoya nahin jata mujhse
apne pindār ko khoyā nahīñ jaatā mujh se
maiñ jo chāhūñ bhī to royā nahīñ jaatā mujh se
mubtalā ho mirā ham-sāya kisī ġham meñ agar
jāgtā rahtā huuñ soyā nahīñ jaatā mujh se
hādsoñ meñ bhī rahī hai mire hoñToñ pe hañsī
ġham ko ḳhushiyoñ meñ samoyā nahīñ jaatā mujh se
qissa-e-zulm meñ kaise likhūñ kab tak likkhūñ
ab qalam ḳhuuñ meñ Duboyā nahīñ jaatā mujh se
ek jugnū bhī to sajtā nahīñ palkoñ pe 'sharar'
ek motī bhī piroyā nahīñ jaatā mujh se
apne pindar ko khoya nahin jata mujh se
main jo chahun bhi to roya nahin jata mujh se
mubtala ho mera ham-saya kisi gham mein agar
jagta rahta hun soya nahin jata mujh se
hadson mein bhi rahi hai mere honTon pe hansi
gham ko KHushiyon mein samoya nahin jata mujh se
qissa-e-zulm mein kaise likhun kab tak likkhun
ab qalam KHun mein Duboya nahin jata mujh se
ek jugnu bhi to sajta nahin palkon pe 'sharar'
ek moti bhi piroya nahin jata mujh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.