apne qasid ko saba bandhte hain
apne qāsid ko sabā bāñdhte haiñ
sach hai shā.er bhī havā bāñdhte haiñ
phir sar-e-dast mirā ḳhuuñ hogā
phir vo hāthoñ meñ hinā bāñdhte haiñ
gaThrī phūloñ kī vo ho jaatī hai
jin meñ vo apnī qabā bāñdhte haiñ
ajī dekheñ dil-e-āshiq to nahīñ
aap āñchal meñ ye kyā bāñdhte haiñ
ai 'saḳhī' aaj to kuchh ḳhair nahīñ
vo kamar ho ke ḳhafā bāñdhte haiñ
apne qasid ko saba bandhte hain
sach hai shaer bhi hawa bandhte hain
phir sar-e-dast mera KHun hoga
phir wo hathon mein hina bandhte hain
gaThri phulon ki wo ho jati hai
jin mein wo apni qaba bandhte hain
aji dekhen dil-e-ashiq to nahin
aap aanchal mein ye kya bandhte hain
ai 'saKHi' aaj to kuchh KHair nahin
wo kamar ho ke KHafa bandhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.