apne sae ko bhi asir bana
apne saa.e ko bhī asiir banā
bahte paanī pe ik lakīr banā
sirf ḳhairāt harf-o-saut kī de
shahr-e-fan kā mujhe amiir banā
shoḳh titlī hai gar hadaf pe tire
gul ke reshoñ se ek tiir banā
mujh ko kashkol ke baġhair hī de
ik gadāgar nahīñ faqīr banā
ret par raah DhūñD mat 'sābir'
aa falak par na.ī lakīr banā
apne sae ko bhi asir bana
bahte pani pe ek lakir bana
sirf KHairaat harf-o-saut ki de
shahr-e-fan ka mujhe amir bana
shoKH titli hai gar hadaf pe tere
gul ke reshon se ek tir bana
mujh ko kashkol ke baghair hi de
ek gadagar nahin faqir bana
ret par rah DhunD mat 'sabir'
aa falak par nai lakir bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.