apne safar mein tujhko kai bar dekh kar
apne safar meñ tujh ko ka.ī baar dekh kar
ruktā rahā maiñ rāsta dushvār dekh kar
shāyad use pasand na aa.e ye sar-kashī
shāyad vo rok le mujhe is baar dekh kar
jaatā hai dil hamārā bhī ho kar harīs-e-zaḳhm
us ḳhūb-rū ke haath meñ talvār dekh kar
lab par hamāre zabt kā thā qufl-e-ḳhāmushī
aur aañkh meñ sukūt thā inkār dekh kar
haq par khaḌā huuñ aur maiñ haq ke liye laḌā
mukre na koī mujh ko sar-e- daar dekh kar
apne safar mein tujh ko kai bar dekh kar
rukta raha main rasta dushwar dekh kar
shayad use pasand na aae ye sar-kashi
shayad wo rok le mujhe is bar dekh kar
jata hai dil hamara bhi ho kar haris-e-zaKHm
us KHub-ru ke hath mein talwar dekh kar
lab par hamare zabt ka tha qufl-e-KHamushi
aur aankh mein sukut tha inkar dekh kar
haq par khaDa hun aur main haq ke liye laDa
mukre na koi mujh ko sar-e- dar dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.