apne to rahe apne aghyar nahin karte
apne to rahe apne aġhyār nahīñ karte
aise to mohabbat se inkār nahīñ karte
ye kaisī mohabbat hai har baat pe kahte ho
jaao jī haTo jaao ham pyaar nahīñ karte
matlab key mohabbat ye tum ko hī mubārak ho
ham pyaar to karte haiñ bevpār nahīñ karte
ik-tarfa mohabbat meñ din-rāt taḌapte haiñ
jo log mohabbat meñ iz.hār nahīñ karte
karte haiñ mohabbat to aatā hai nibhānā bhī
ham sirf mohabbat meñ begār nahīñ karte
qudrat ne unheñ 'ābid' kuchh aisā banāyā hai
jab ghar se nikalte haiñ shringār nahīñ karte
apne to rahe apne aghyar nahin karte
aise to mohabbat se inkar nahin karte
ye kaisi mohabbat hai har baat pe kahte ho
jao ji haTo jao hum pyar nahin karte
matlab key mohabbat ye tum ko hi mubarak ho
hum pyar to karte hain bewpar nahin karte
ik-tarfa mohabbat mein din-raat taDapte hain
jo log mohabbat mein izhaar nahin karte
karte hain mohabbat to aata hai nibhana bhi
hum sirf mohabbat mein begar nahin karte
qudrat ne unhen 'abid' kuchh aisa banaya hai
jab ghar se nikalte hain shringar nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.