apni aankhon ko kabhi Thik se dhoya hi nahin
apnī āñkhoñ ko kabhī Thiik se dhoyā hī nahīñ
sach kahūñ aaj talak khul ke maiñ royā hī nahīñ
mere lafzoñ se mirā dard jhalak jaatā hai
jabki is dard ko āvāz meñ boyā hī nahīñ
ik daf.a niiñd meñ ḳhvāboñ kā janāza dekhā
ba.ad us ke maiñ kabhī chain se soyā hī nahīñ
tañg galiyoñ meñ mohabbat kī bhaTakte haiñ sab
maiñ ne koshish to ka.ī baar kī khoyā hī nahīñ
saañs ruk jaa.e taḌapte hue yādoñ meñ kahīñ
hijr kā bojh kabhī dil pe yuuñ Dhoyā hī nahīñ
maiñ kahānī meñ nayā moḌ bhī lā saktā thā
maiñ ne kirdār ko aañsū meñ bhigoyā hī nahīñ
apne rishte kā bhī ab 'mīt' bikharnā tai thā
ham ne vishvās ke dhāge meñ piroyā hī nahīñ
apni aankhon ko kabhi Thik se dhoya hi nahin
sach kahun aaj talak khul ke main roya hi nahin
mere lafzon se mera dard jhalak jata hai
jabki is dard ko aawaz mein boya hi nahin
ek dafa nind mein KHwabon ka janaza dekha
baad us ke main kabhi chain se soya hi nahin
tang galiyon mein mohabbat ki bhaTakte hain sab
main ne koshish to kai bar ki khoya hi nahin
sans ruk jae taDapte hue yaadon mein kahin
hijr ka bojh kabhi dil pe yun Dhoya hi nahin
main kahani mein naya moD bhi la sakta tha
main ne kirdar ko aansu mein bhigoya hi nahin
apne rishte ka bhi ab 'mit' bikharna tai tha
hum ne wishwas ke dhage mein piroya hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.