apni aankhon mein tere KHwab sajaane wala
apnī āñkhoñ meñ tire ḳhvāb sajāne vaalā
ab yahāñ koī nahīñ tujh ko manāne vaalā
kyā se kyā ab tire hālāt hue jaate haiñ
vaqt achchhā nahīñ lagtā mujhe aane vaalā
mere mahbūb tū lailā kī laḌī se na sahī
par mirā ishq hai majnūñ ke gharāne vaalā
maiñ na kahtā thā badal jā.egā āḳhir tū bhī
bhā gayā hai na tujhe rang zamāne vaalā
chhoḌ jaate haiñ sabhī raah meñ lekin mire yaar
yuuñ bhī jaatā hai koī chhoḌ ke jaane vaalā
apni aankhon mein tere KHwab sajaane wala
ab yahan koi nahin tujh ko manane wala
kya se kya ab tere haalat hue jate hain
waqt achchha nahin lagta mujhe aane wala
mere mahbub tu laila ki laDi se na sahi
par mera ishq hai majnun ke gharane wala
main na kahta tha badal jaega aaKHir tu bhi
bha gaya hai na tujhe rang zamane wala
chhoD jate hain sabhi rah mein lekin mere yar
yun bhi jata hai koi chhoD ke jaane wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.