apni aashufta mizaji ke samar bol paDe
apnī āshufta mizājī ke samar bol paḌe
maiñ jo ḳhāmosh huā zaḳhm-e-jigar bol paḌe
raat yādoñ ke parindoñ ne bahut shor kiyā
jaise ḳhvābīda jazīroñ meñ sahar bol paḌe
dil ne ḳhāmosh mohabbat kī tahārat sun lī
dam-e-ruḳhsat jo tire dīda-e-tar bol paḌe
un se din-rāt badalne kā sabab jānñā thā
shauq-e-taqlīd meñ gum shams-o-qamar bol paḌe
pahle mismār hue ḳhvāb-gharauñde 'aḳhtar'
phir havāoñ se gale mil ke shajar bol paḌe
apni aashufta mizaji ke samar bol paDe
main jo KHamosh hua zaKHm-e-jigar bol paDe
raat yaadon ke parindon ne bahut shor kiya
jaise KHwabida jaziron mein sahar bol paDe
dil ne KHamosh mohabbat ki tahaarat sun li
dam-e-ruKHsat jo tere dida-e-tar bol paDe
un se din-raat badalne ka sabab jaanna tha
shauq-e-taqlid mein gum shams-o-qamar bol paDe
pahle mismar hue KHwab-gharaunde 'aKHtar'
phir hawaon se gale mil ke shajar bol paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.