apni ana ke gumbad-e-be-dar mein band hai
apnī anā ke gumbad-e-be-dar meñ band hai
lekin ba-zom-e-ḳhud vo falak tak buland hai
har manzil un ke vāste bas ik zaqand hai
vo log apnā 'azm hī jin kā samand hai
aatā hai baar baar fareb-e-ḳhulūs meñ
kyā sāda-lauh apnā dil-e-dard-mand hai
jo iltihāb-e-ātish-e-ġham se hai nāla-kash
vo dil nahīñ chaTaḳhtā huā ik sipand hai
shāyad ma.āl-e-ḳhanda-e-gul hai nigāh meñ
lab par kalī kalī ke 'ajab zahr-e-ḳhand hai
har zī-hayāt is meñ rahe 'umr bhar asiir
tār-e-nafas bhī ek tarah kī kamand hai
shāmil haiñ talḳhiyāñ bhī halāvat ke saath saath
ye zindagī hai zahr-e-halāhal na qand hai
'tanvīr' shahr-e-sang meñ shīshagarī kī baat
yārān-e-mehrbāñ ko bahut nā-pasand hai
apni ana ke gumbad-e-be-dar mein band hai
lekin ba-zom-e-KHud wo falak tak buland hai
har manzil un ke waste bas ek zaqand hai
wo log apna 'azm hi jin ka samand hai
aata hai bar bar fareb-e-KHulus mein
kya sada-lauh apna dil-e-dard-mand hai
jo iltihab-e-atish-e-gham se hai nala-kash
wo dil nahin chaTaKHta hua ek sipand hai
shayad maal-e-KHanda-e-gul hai nigah mein
lab par kali kali ke 'ajab zahr-e-KHand hai
har zi-hayat is mein rahe 'umr bhar asir
tar-e-nafas bhi ek tarah ki kamand hai
shamil hain talKHiyan bhi halawat ke sath sath
ye zindagi hai zahr-e-halahal na qand hai
'tanwir' shahr-e-sang mein shishagari ki baat
yaran-e-mehrban ko bahut na-pasand hai
- Book : Tahreek Silver Jubilee Number (Pg. 422)
- Author : Gopal Mittal, Makhmoor Saeedi, Prem Gopal Mittal
- Publication : Monthly Tahreek, 9, Ansari Market, Daryaganj, New Delhi-110002 (July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,)
- Edition : July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.