apni baaton ko tolna hoga
apnī bātoñ ko tolnā hogā
ya.anī sūraj ko bolnā hogā
dhuup kamre meñ yuuñ na aa.egī
uTh ke darvāza kholnā hogā
hādse haiñ shikast-āmāda
maut ko sar pe Dolnā hogā
naqsh bikhrā diye havā ne sab
ek ik zarra rolnā hogā
aañkh vaale se ye taqāzā hai
ek andhā huuñ bolnā hogā
apni baaton ko tolna hoga
yani suraj ko bolna hoga
dhup kamre mein yun na aaegi
uTh ke darwaza kholna hoga
hadse hain shikast-amada
maut ko sar pe Dolna hoga
naqsh bikhra diye hawa ne sab
ek ek zarra rolna hoga
aankh wale se ye taqaza hai
ek andha hun bolna hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.