apni chahat ko mere dukh ke barabar kar de
apnī chāhat ko mire dukh ke barābar kar de
yā mujhe dekh le is tarh ki patthar kar de
ye simaTtī huī duniyā ye bikharte hue log
intihā koī to har shai kī muqarrar kar de
kis ko dekhūñ ki tire naam kā nashsha utre
kis ko chāhūñ jo tire sehr ko kamtar kar de
mausam-e-vajd meñ jā kar maiñ kahāñ raqs karūñ
apnī duniyā mirī vahshat ke barābar kar de
ek khaTkā mujhe rahtā hai mohabbat meñ sadā
us kā kyā jab jise chāhe mirā ham-sar kar de
apni chahat ko mere dukh ke barabar kar de
ya mujhe dekh le is tarh ki patthar kar de
ye simaTti hui duniya ye bikharte hue log
intiha koi to har shai ki muqarrar kar de
kis ko dekhun ki tere nam ka nashsha utre
kis ko chahun jo tere sehr ko kamtar kar de
mausam-e-wajd mein ja kar main kahan raqs karun
apni duniya meri wahshat ke barabar kar de
ek khaTka mujhe rahta hai mohabbat mein sada
us ka kya jab jise chahe mera ham-sar kar de
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 94)
- Author :Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.