apni danishwari se Darta hun
apnī dānishvarī se Dartā huuñ
jāhiloñ ko salām kartā huuñ
kaisā nādāñ huuñ zindagī meñ bhī
terī chāhat meñ roz martā huuñ
is meñ pastī bhī saath detī hai
jab bulandī se maiñ utartā huuñ
jaane kis vaqt maut aa jaa.e
bas yahī soch kar sañvartā huuñ
mujh ko mahsūs kar ki maiñ tujh se
ḳhushbuoñ kī tarah guzartā huuñ
āsmāñ tak yahīñ se rasta hai
dil kī gahrā.ī meñ utartā huuñ
jab yaqīñ ho chukā ki huuñ 'jāved'
apne hone se ab mukartā huuñ
apni danishwari se Darta hun
jahilon ko salam karta hun
kaisa nadan hun zindagi mein bhi
teri chahat mein roz marta hun
is mein pasti bhi sath deti hai
jab bulandi se main utarta hun
jaane kis waqt maut aa jae
bas yahi soch kar sanwarta hun
mujh ko mahsus kar ki main tujh se
KHushbuon ki tarah guzarta hun
aasman tak yahin se rasta hai
dil ki gahrai mein utarta hun
jab yaqin ho chuka ki hun 'jawed'
apne hone se ab mukarta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.