apni dhun mein hun KHayal-e-ma-siwa se kya gharaz
apnī dhun meñ huuñ ḳhayāl-e-mā-sivā se kyā ġharaz
āshnā se kyā ġharaz nā-āshnā se kyā ġharaz
baat kuchh dil kī sunī ai nisbat-e-zāt-o-sifāt
ho butoñ se be-niyāzī to ḳhudā se kyā ġharaz
zindagī kā avval-o-āḳhir thī vo pahlī nazar
ibtidā se kyā ta'alluq intihā se kyā ġharaz
mudda'ā-āmoz hai husn-e-tamannā-āfrīñ
is dil-e-be-mudda'ā ko mudda'ā se kyā ġharaz
'umr-bhar us kī jafā ko ham vafā samjhā kiye
kyā ḳhabar vābasta thī us be-vafā se kyā ġharaz
husn-e-mustaġhnā kī ham ne baat rakh lī ai 'zahīn'
varna ‘ishq-e-be-ġharaz ko iltijā se kyā ġharaz
apni dhun mein hun KHayal-e-ma-siwa se kya gharaz
aashna se kya gharaz na-ashna se kya gharaz
baat kuchh dil ki suni ai nisbat-e-zat-o-sifat
ho buton se be-niyazi to KHuda se kya gharaz
zindagi ka awwal-o-aKHir thi wo pahli nazar
ibtida se kya ta'alluq intiha se kya gharaz
mudda'a-amoz hai husn-e-tamanna-afrin
is dil-e-be-mudda'a ko mudda'a se kya gharaz
'umr-bhar us ki jafa ko hum wafa samjha kiye
kya KHabar wabasta thi us be-wafa se kya gharaz
husn-e-mustaghna ki hum ne baat rakh li ai 'zahin'
warna ‘ishq-e-be-gharaz ko iltija se kya gharaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.