apni dida-wari se Darti hun
apnī dīda-varī se Dartī huuñ
varna maiñ kab kisī se Dartī huuñ
asl se naqal baḌh na jaa.e kahīñ
fan-e-sūrat-garī se Dartī huuñ
mujh ko itnā ḳhudā kā ḳhauf nahīñ
jitnā maiñ aadmī se Dartī huuñ
dostī kī to baat hī na karo
maiñ bahut dostī se Dartī huuñ
tīrgī to mirī muhāfiz hai
ham-nafas raushnī se Dartī huuñ
jis ko insāniyat se pyaar na ho
aise har aadmī se Dartī huuñ
Duub jā.ūñ na maiñ ḳhudī meñ kahīñ
is liye is ḳhudī se Dartī huuñ
ḳhud kahīñ dil kahīñ dimāġh kahīñ
maiñ tirī bandagī se Dartī huuñ
maslahat se jo kaam lete haiñ
un kī kam-himmatī se Dartī huuñ
le na Duube tujhe ye ai 'rūmī'
maiñ tirī ḳhud-sarī se Dartī huuñ
apni dida-wari se Darti hun
warna main kab kisi se Darti hun
asl se naqal baDh na jae kahin
fan-e-surat-gari se Darti hun
mujh ko itna KHuda ka KHauf nahin
jitna main aadmi se Darti hun
dosti ki to baat hi na karo
main bahut dosti se Darti hun
tirgi to meri muhafiz hai
ham-nafas raushni se Darti hun
jis ko insaniyat se pyar na ho
aise har aadmi se Darti hun
Dub jaun na main KHudi mein kahin
is liye is KHudi se Darti hun
KHud kahin dil kahin dimagh kahin
main teri bandagi se Darti hun
maslahat se jo kaam lete hain
un ki kam-himmati se Darti hun
le na Dube tujhe ye ai 'rumi'
main teri KHud-sari se Darti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.