apni duniya basa raha hun main
apnī duniyā basā rahā huuñ maiñ
jā tujhe ab bhulā rahā huuñ maiñ
aaj kī shab baḌī qayāmat hai
vāqa.ī sone jā rahā huuñ maiñ
haañ mohabbat kabhī nahīñ miTtī
ḳhud ko lekin miTā rahā huuñ maiñ
us kī ḳhushiyoñ ke vāste logo
bār-e-ġham bhī uThā rahā huuñ maiñ
yā-ḳhudā sun le iltijā merī
dar tirā khaTkhaTā rahā huuñ maiñ
ye dhuāñ be-sabab nahīñ uThtā
apnā siina jalā rahā huuñ maiñ
'faiz' urdu adab kī duniyā meñ
apnā jalva dikhā rahā huuñ maiñ
apni duniya basa raha hun main
ja tujhe ab bhula raha hun main
aaj ki shab baDi qayamat hai
waqai sone ja raha hun main
han mohabbat kabhi nahin miTti
KHud ko lekin miTa raha hun main
us ki KHushiyon ke waste logo
bar-e-gham bhi uTha raha hun main
ya-KHuda sun le iltija meri
dar tera khaTkhaTa raha hun main
ye dhuan be-sabab nahin uThta
apna sina jala raha hun main
'faiz' urdu adab ki duniya mein
apna jalwa dikha raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.