apni gagar se mat nikal mujhe
apnī gāgar se mat nikāl mujhe
is samundar se mat nikāl mujhe
dil ke andar qiyām hai merā
sirf bāhar se mat nikāl mujhe
pyaar kartī hai mujh se heroine
yaar picture se mat nikāl mujhe
ġham kā motī huuñ dil meñ rahtā huuñ
gahre sāgar se mat nikāl mujhe
maiñ tire kaam kī ḳhabar huuñ magar
news paper se mat nikāl mujhe
koī golī nahīñ huuñ kāñTā huuñ
nok-e-ḳhanjar se mat nikāl mujhe
jhoñpaḌī nahr peḌ aur panchhī
aise manzar se mat nikāl mujhe
apni gagar se mat nikal mujhe
is samundar se mat nikal mujhe
dil ke andar qiyam hai mera
sirf bahar se mat nikal mujhe
pyar karti hai mujh se heroine
yar picture se mat nikal mujhe
gham ka moti hun dil mein rahta hun
gahre sagar se mat nikal mujhe
main tere kaam ki KHabar hun magar
news paper se mat nikal mujhe
koi goli nahin hun kanTa hun
nok-e-KHanjar se mat nikal mujhe
jhonpaDi nahr peD aur panchhi
aise manzar se mat nikal mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.