apni had se guzar nahin sakte
apnī had se guzar nahīñ sakte
bad-tamīzī to kar nahīñ sakte
mujh pe tohmat lagāne vaale sun
tere jaise sudhar nahīñ sakte
bojh lagte haiñ mere kāñdhoñ par
kyā farishte utar nahīñ sakte
aap jaisoñ pe rahm aatā hai
aap jaisoñ se Dar nahīñ sakte
apnī zid meñ anā bhī lāzim hai
Tuut jaa.eñ bikhar nahīñ sakte
kuchh hayā bhī lagā.iye muñh par
is tarah to sañvar nahīñ sakte
tum mirī shā.erī meñ zinda ho
mar bhī jaao to mar nahīñ sakte
apni had se guzar nahin sakte
bad-tamizi to kar nahin sakte
mujh pe tohmat lagane wale sun
tere jaise sudhar nahin sakte
bojh lagte hain mere kandhon par
kya farishte utar nahin sakte
aap jaison pe rahm aata hai
aap jaison se Dar nahin sakte
apni zid mein ana bhi lazim hai
Tut jaen bikhar nahin sakte
kuchh haya bhi lagaiye munh par
is tarah to sanwar nahin sakte
tum meri shaeri mein zinda ho
mar bhi jao to mar nahin sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.