apni har baat ko aaKHir wahan rad hona hai
apni har baat ko aaKHir wahan rad hona hai
Mohammad Wasiq Nadeem
MORE BYMohammad Wasiq Nadeem
apnī har baat ko āḳhir vahāñ rad honā hai
vo jo boleñ unhīñ bātoñ ko sanad honā hai
ik mahal aur banā lo ki havāoñ meñ uḌo
āḳhirī ghar to vo do gaz kī lahad honā hai
aur kuchh roz yūñhī sabr kiye jā ai dil
un ke andāz-e-taġhāful kī bhī had honā hai
sarfarāzī kī sa.ādat hai mire hisse meñ
is taraqqī pe harīfoñ ko hasad honā hai
is na.e daur kī lailā bhī junūñ-pesha nahīñ
lāzima qais ke jazboñ meñ ḳhirad honā hai
saḳht hālāt jo aa.eñ to bharosa rakhnā
us ke darbār se āḳhir ko madad honā hai
she'r kahne kā salīqa to hai lekin 'vāsiq'
ham se shā'ir ko na 'ġhālib' na 'asad' honā hai
apni har baat ko aaKHir wahan rad hona hai
wo jo bolen unhin baaton ko sanad hona hai
ek mahal aur bana lo ki hawaon mein uDo
aaKHiri ghar to wo do gaz ki lahad hona hai
aur kuchh roz yunhi sabr kiye ja ai dil
un ke andaz-e-taghaful ki bhi had hona hai
sarfaraazi ki saadat hai mere hisse mein
is taraqqi pe harifon ko hasad hona hai
is nae daur ki laila bhi junun-pesha nahin
lazima qais ke jazbon mein KHirad hona hai
saKHt haalat jo aaen to bharosa rakhna
us ke darbar se aaKHir ko madad hona hai
she'r kahne ka saliqa to hai lekin 'wasiq'
hum se sha'ir ko na 'ghaalib' na 'asad' hona hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.