apni hasti miTae phirta hun
apnī hastī miTā.e phirtā huuñ
rañj kyā kyā uThā.e phirtā huuñ
shab guzartī hai us kī yādoñ meñ
saarā din laḌkhaḌā.e phirtā huuñ
ab to aadī huuñ dard sahne kā
ab to bas sar jhukā.e phirtā huuñ
umr lambī ho merī āñkhoñ kī
ḳhvāb tere sajā.e phirtā huuñ
āḳhirī fard huuñ qabīle kā
dil meñ yādeñ basā.e phirtā huuñ
sogvārī hai mere kamre meñ
hijr ke din manā.e phirtā huuñ
ye mujhe kyā huā hai jān-e-jāñ
maiñ ye kyā gungunā.e phirtā huuñ
apni hasti miTae phirta hun
ranj kya kya uThae phirta hun
shab guzarti hai us ki yaadon mein
sara din laDkhaDae phirta hun
ab to aadi hun dard sahne ka
ab to bas sar jhukae phirta hun
umr lambi ho meri aankhon ki
KHwab tere sajae phirta hun
aaKHiri fard hun qabile ka
dil mein yaaden basae phirta hun
sogwari hai mere kamre mein
hijr ke din manae phirta hun
ye mujhe kya hua hai jaan-e-jaan
main ye kya gungunae phirta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.