Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni hi aarzuon se ek jang hai hayat

Shayar Jamali

apni hi aarzuon se ek jang hai hayat

Shayar Jamali

MORE BYShayar Jamali

    apnī ārzūoñ se ik jang hai hayāt

    bas yuuñ samajh lo dast-e-tah-e-sang hai hayāt

    kyoñ marg-e-nā-gahāñ ko pukāreñ ki āj-kal

    marne ek aur nayā Dhang hai hayāt

    ai nāsehān-e-asr jiye rahe ho kyoñ

    jab jurm hai gunāh hai aur nang hai hayāt

    haiñ tere bāġhiyoñ pe zamāne ne'mateñ

    tere jo haiñ unhīñ pe bahut tang hai hayāt

    ai sakinān-e-farsh-e-gulistāñ idhar bhī aao

    mere ufuq pe dekho lahū-rang hai hayāt

    apnī salīb apne shānoñ pe laa.e ham

    hairāñ idhar hai maut udhar dang hai hayāt

    'shā'ir' hayāt-o-maut ke rishte qadīm haiñ

    hai maut ik sukūt to āhang hai hayāt

    apni hi aarzuon se ek jang hai hayat

    bas yun samajh lo dast-e-tah-e-sang hai hayat

    kyon marg-e-na-gahan ko pukaren ki aaj-kal

    marne ka ek aur naya Dhang hai hayat

    ai nasehan-e-asr jiye ja rahe ho kyon

    jab jurm hai gunah hai aur nang hai hayat

    hain tere baghiyon pe zamane ki ne'maten

    tere jo hain unhin pe bahut tang hai hayat

    ai sakinan-e-farsh-e-gulistan idhar bhi aao

    mere ufuq pe dekho lahu-rang hai hayat

    apni salib apne hi shanon pe lae hum

    hairan idhar hai maut udhar dang hai hayat

    'sha'ir' hayat-o-maut ke rishte qadim hain

    hai maut ek sukut to aahang hai hayat

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now