apni hi aarzuon se ek jang hai hayat
apnī hī ārzūoñ se ik jang hai hayāt
bas yuuñ samajh lo dast-e-tah-e-sang hai hayāt
kyoñ marg-e-nā-gahāñ ko pukāreñ ki āj-kal
marne kā ek aur nayā Dhang hai hayāt
ai nāsehān-e-asr jiye jā rahe ho kyoñ
jab jurm hai gunāh hai aur nang hai hayāt
haiñ tere bāġhiyoñ pe zamāne kī ne.amateñ
tere jo haiñ unhīñ pe bahut tang hai hayāt
ai sakinān-e-farsh-e-gulistāñ idhar bhī aao
mere ufuq pe dekho lahū-rang hai hayāt
apnī salīb apne hī shānoñ pe laa.e ham
hairāñ idhar hai maut udhar dang hai hayāt
'shā.ir' hayāt-o-maut ke rishte qadīm haiñ
hai maut ik sukūt to āhang hai hayāt
apni hi aarzuon se ek jang hai hayat
bas yun samajh lo dast-e-tah-e-sang hai hayat
kyon marg-e-na-gahan ko pukaren ki aaj-kal
marne ka ek aur naya Dhang hai hayat
ai nasehan-e-asr jiye ja rahe ho kyon
jab jurm hai gunah hai aur nang hai hayat
hain tere baghiyon pe zamane ki neamaten
tere jo hain unhin pe bahut tang hai hayat
ai sakinan-e-farsh-e-gulistan idhar bhi aao
mere ufuq pe dekho lahu-rang hai hayat
apni salib apne hi shanon pe lae hum
hairan idhar hai maut udhar dang hai hayat
'shair' hayat-o-maut ke rishte qadim hain
hai maut ek sukut to aahang hai hayat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.