apni hi aawaz ko be-shak kan mein rakhna
apnī hī āvāz ko be-shak kaan meñ rakhnā
lekin shahr kī ḳhāmoshī bhī dhyān meñ rakhnā
mere jhuuT ko tolo bhī aur kholo bhī tum
lekin apne sach ko bhī mīzān meñ rakhnā
kal tārīḳh yaqīnan ḳhud ko dohrā.egī
aaj ke ik ik manzar ko pahchān meñ rakhnā
bazm meñ yāroñ kī shamshīr ke jauhar dekho
razm meñ lekin talvāroñ ko myaan meñ rakhnā
is dariyā se aage ek samundar bhī hai
aur vo be-sāhil hai ye bhī dhyān meñ rakhnā
is mausam meñ gul-dānoñ kī rasm kahāñ hai
logo ab phūloñ kī ātish-dān meñ rakhnā
apni hi aawaz ko be-shak kan mein rakhna
lekin shahr ki KHamoshi bhi dhyan mein rakhna
mere jhuT ko tolo bhi aur kholo bhi tum
lekin apne sach ko bhi mizan mein rakhna
kal tariKH yaqinan KHud ko dohraegi
aaj ke ek ek manzar ko pahchan mein rakhna
bazm mein yaron ki shamshir ke jauhar dekho
razm mein lekin talwaron ko myan mein rakhna
is dariya se aage ek samundar bhi hai
aur wo be-sahil hai ye bhi dhyan mein rakhna
is mausam mein gul-danon ki rasm kahan hai
logo ab phulon ki aatish-dan mein rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.