apni hi sada sunun kahan tak
apnī hī sadā sunūñ kahāñ tak
jañgal kī havā rahūñ kahāñ tak
har baar havā na hogī dar par
har baar magar uThūñ kahāñ tak
dam ghaTtā hai ghar meñ habs vo hai
ḳhushbū ke liye rukūñ kahāñ tak
phir aa ke havā.eñ khol deñgī
zaḳhm apne rafū karūñ kahāñ tak
sāhil pe samundaroñ se bach kar
maiñ naam tirā likhūñ kahāñ tak
tanhā.ī kā ek ek lamha
hañgāmoñ se qarz luuñ kahāñ tak
gar lams nahīñ to lafz hī bhej
maiñ tujh se judā rahūñ kahāñ tak
sukh se bhī to dostī kabhī ho
dukh se hī gale milūñ kahāñ tak
mansūb ho har kiran kisī se
apne hī liye jalūñ kahāñ tak
āñchal mire bhar ke phaT rahe haiñ
phuul us ke liye chunūñ kahāñ tak
apni hi sada sunun kahan tak
jangal ki hawa rahun kahan tak
har bar hawa na hogi dar par
har bar magar uThun kahan tak
dam ghaTta hai ghar mein habs wo hai
KHushbu ke liye rukun kahan tak
phir aa ke hawaen khol dengi
zaKHm apne rafu karun kahan tak
sahil pe samundaron se bach kar
main nam tera likhun kahan tak
tanhai ka ek ek lamha
hangamon se qarz lun kahan tak
gar lams nahin to lafz hi bhej
main tujh se juda rahun kahan tak
sukh se bhi to dosti kabhi ho
dukh se hi gale milun kahan tak
mansub ho har kiran kisi se
apne hi liye jalun kahan tak
aanchal mere bhar ke phaT rahe hain
phul us ke liye chunun kahan tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.