apni jab wafaon par un ko bad-guman dekha
apnī jab vafāoñ par un ko bad-gumāñ dekhā
ham ne kitnī hasrat se sū-e-asmāñ dekhā
tīliyoñ se Takrā kar kyā kahā havāoñ ne
chauñk kar asīroñ ne sū-e-gulistāñ dekhā
sāz-e-hāl par chheḌā har tarāna-e-māzī
dil ko jab kabhī ham ne mā.il-e-fuġhāñ dekhā
tīrgī ke parde meñ marg-e-tīrgī hai 'hosh'
jab uThā hijāb-e-shab mehr zau-fishāñ dekhā
apni jab wafaon par un ko bad-guman dekha
hum ne kitni hasrat se su-e-asman dekha
tiliyon se Takra kar kya kaha hawaon ne
chaunk kar asiron ne su-e-gulistan dekha
saz-e-haal par chheDa har tarana-e-mazi
dil ko jab kabhi hum ne mail-e-fughan dekha
tirgi ke parde mein marg-e-tirgi hai 'hosh'
jab uTha hijab-e-shab mehr zau-fishan dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.