apni khoi hui tauqir numayan kar den
apnī khoī huī tauqīr numāyāñ kar deñ
kyuuñ na tārīki-e-mahfil ko farozāñ kar deñ
nūr-e-sultāna-o-raziya kī hamiyyat kī qasam
gumbad-e-charḳh ko ik baar to larzāñ kar deñ
fātima-zahra ke dil-doz tahammul kī qasam
azmat-e-rafta se duniyā meñ charāġhāñ kar deñ
jabr aur zulm kī buniyād ko Dah kar bahno
aao ab himmat-e-mardāna ko hairāñ kar deñ
tafraqe saare ye aapas ke miTā Dāleñ ham
aao ab jur.at-e-nisvāñ ko numāyāñ kar deñ
hind vīrān huā ham ko hī 'maḳhfī' rakh kar
uTho is ujḌe gulistāñ meñ bahārāñ kar deñ
apni khoi hui tauqir numayan kar den
kyun na tariki-e-mahfil ko farozan kar den
nur-e-sultana-o-raziya ki hamiyyat ki qasam
gumbad-e-charKH ko ek bar to larzan kar den
fatima-zahra ke dil-doz tahammul ki qasam
azmat-e-rafta se duniya mein charaghan kar den
jabr aur zulm ki buniyaad ko Dah kar bahno
aao ab himmat-e-mardana ko hairan kar den
tafraqe sare ye aapas ke miTa Dalen hum
aao ab jurat-e-niswan ko numayan kar den
hind viran hua hum ko hi 'maKHfi' rakh kar
uTho is ujDe gulistan mein bahaaran kar den
- Book : Pathan Shayraat ka Tazkira (Pg. 211)
- Author : Khan Mohammad Atif
- Publication : Khan Mohammad Atif (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.