apni KHuddari to pamal nahin kar sakte
apnī ḳhuddārī to pāmāl nahīñ kar sakte
us kā number hai magar kaal nahīñ kar sakte
siim jā.egā to phir naqsh ubhāreñge koī
kaam dīvār pe filhāl nahīñ kar sakte
rah bhī saktā hai tirā naam kahīñ likkhā huā
saare jañgal kī to paḌtāl nahīñ kar sakte
dost tasvīr bahut duur se khīñchī ga.ī hai
ham ujāgar ye ḳhad-o-ḳhāl nahīñ kar sakte
rotī āñkhoñ pe miyāñ haath to rakh sakte haiñ
pesh agar aap ko rūmāl nahīñ kar sakte
de na de kaam kī ujrat ye hai marzī us kī
pesha-e-ishq meñ haḌtāl nahīñ kar sakte
dasht aa.e jise vahshat kī talab ho 'nādir'
ye ġhizā shahr ham irsāl nahīñ kar sakte
apni KHuddari to pamal nahin kar sakte
us ka number hai magar kal nahin kar sakte
sim jaega to phir naqsh ubhaarenge koi
kaam diwar pe filhaal nahin kar sakte
rah bhi sakta hai tera nam kahin likkha hua
sare jangal ki to paDtal nahin kar sakte
dost taswir bahut dur se khinchi gai hai
hum ujagar ye KHad-o-KHal nahin kar sakte
roti aankhon pe miyan hath to rakh sakte hain
pesh agar aap ko rumal nahin kar sakte
de na de kaam ki ujrat ye hai marzi us ki
pesha-e-ishq mein haDtal nahin kar sakte
dasht aae jise wahshat ki talab ho 'nadir'
ye ghiza shahr hum irsal nahin kar sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.