apni KHushiyon pe to farhat bhi nahin kar sakte
apnī ḳhushiyoñ pe to farhat bhī nahīñ kar sakte
ham to iz.hār-e-masarrat bhī nahīñ kar sakte
hākim-e-vaqt hai ab ḳhud hī madad-gār-e-sitam
us se zulmoñ kī shikāyat bhī nahīñ kar sakte
tum ko maañ baap ne paidā kiyā paalā posā
tum ki maañ baap kī ḳhidmat bhī nahīñ kar sakte
is qadar TuuT ke chāhā thā kabhī ham ne tujhe
ham tujhe chaah ke nafrat bhī nahīñ kar sakte
tum ne zulfoñ meñ kiyā qaid mirī nīñdoñ ko
kyā rihā kar ke ināyat bhī nahīñ kar sakte
itne mānūs haiñ ham terī galī se jānāñ
ham tire shahr se hijrat bhī nahīñ kar sakte
un ko ye zo.am ki vo ḳhud haiñ maballiġh ai 'zakī'
shaiḳh sāhab ko nasīhat bhī nahīñ kar sakte
ham asīrān-e-rivāyat kī ye mushkil hai 'zakī'
ham rivāyat se baġhāvat bhī nahīñ kar sakte
apni KHushiyon pe to farhat bhi nahin kar sakte
hum to izhaar-e-masarrat bhi nahin kar sakte
hakim-e-waqt hai ab KHud hi madad-gar-e-sitam
us se zulmon ki shikayat bhi nahin kar sakte
tum ko man bap ne paida kiya pala posa
tum ki man bap ki KHidmat bhi nahin kar sakte
is qadar TuT ke chaha tha kabhi hum ne tujhe
hum tujhe chah ke nafrat bhi nahin kar sakte
tum ne zulfon mein kiya qaid meri nindon ko
kya riha kar ke inayat bhi nahin kar sakte
itne manus hain hum teri gali se jaanan
hum tere shahr se hijrat bhi nahin kar sakte
un ko ye zoam ki wo KHud hain maballigh ai 'zaki'
shaiKH sahab ko nasihat bhi nahin kar sakte
hum asiran-e-riwayat ki ye mushkil hai 'zaki'
hum riwayat se baghawat bhi nahin kar sakte
- Book : ضبط فغاں(شعری مجموعہ) (Pg. 134)
- Author : کوکب ذکی
- Publication : وشواس پبلی کیشنز ،حیدرآباد (2016)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.