apni manzil ka rasta bhejo
apnī manzil kā rāsta bhejo
jaan ham ko vahāñ bulā bhejo
kyā hamārā nahīñ rahā sāvan
zulf yaañ bhī koī ghaTā bhejo
na.ī kaliyāñ jo ab khilī haiñ vahāñ
un kī ḳhushbū ko ik zarā bhejo
ham na jiite haiñ aur na marte haiñ
dard bhejo na tum davā bhejo
dhuul uḌtī hai jo us āñgan meñ
us ko bhejo sabā sabā bhejo
ai faqīro galī ke us gul kī
tum hameñ apnī ḳhāk-e-pā bhejo
shafaq-e-shām-e-hijr ke hāthoñ
apnī utrī huī qabā bhejo
kuchh to rishta hai tum se kam-baḳhtoñ
kuchh nahīñ koī bad-duā bhejo
apni manzil ka rasta bhejo
jaan hum ko wahan bula bhejo
kya hamara nahin raha sawan
zulf yan bhi koi ghaTa bhejo
nai kaliyan jo ab khili hain wahan
un ki KHushbu ko ek zara bhejo
hum na jite hain aur na marte hain
dard bhejo na tum dawa bhejo
dhul uDti hai jo us aangan mein
us ko bhejo saba saba bhejo
ai faqiro gali ke us gul ki
tum hamein apni KHak-e-pa bhejo
shafaq-e-sham-e-hijr ke hathon
apni utri hui qaba bhejo
kuchh to rishta hai tum se kam-baKHton
kuchh nahin koi bad-dua bhejo
- Book : Gumaan (Poetry) (Pg. 29)
- Author : Jaun Elia
- Publication : Takhleeqar Publishers (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.