apni marzi ka ruKH main apnaun
apnī marzī kā ruḳh maiñ apnā.ūñ
kaash maiñ bhī havā sī ho jā.ūñ
maan lenā ke tum ḳhayāl meñ ho
jab bhī maiñ phuul jaisā muskā.ūñ
kyā kahā tum pe maiñ yaqīñ kar luuñ
ya.anī ik baar phir bikhar jā.ūñ
ḳhvāhisheñ to hazār kar luuñ maiñ
kaash puurī bhī koī kar pā.ūñ
chāñd bhī jā rahā hai ab sone
maiñ bhī ab thoḌī der so jā.ūñ
apni marzi ka ruKH main apnaun
kash main bhi hawa si ho jaun
man lena ke tum KHayal mein ho
jab bhi main phul jaisa muskaun
kya kaha tum pe main yaqin kar lun
yani ek bar phir bikhar jaun
KHwahishen to hazar kar lun main
kash puri bhi koi kar paun
chand bhi ja raha hai ab sone
main bhi ab thoDi der so jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.